اردو हिंदी
Aah meri zaban par aai | Shaahi Shayari
aah meri zaban par aai

Ghazal

Aah meri zaban par aai

Mir Taqi Mir

;

aah meri zaban par aai
ye bala aasman par aai

aalam-e-jaan se to nahin aaya
ek aafat jahan par aai

piri aafat hai phir na tha goya
ye bala jis jawan par aai

hum bhi hazir hain khinchiye shamshir
taba gar imtihan par aai

tab Thikane lagi hamari KHak
jab tere aastan par aai

aatish-e-rang-e-gul se kya kahiye
barq thi aashiyan par aai

taqat-e-dil ba-rang-e-nikhat-e-gul
phir apne makan par aai

ho jahan 'mir' aur gham is ka
jis se aalam ki jaan par aai