ye chashm aaina-dar-e-ru thi kasu ki
nazar us taraf bhi kabhu thi kasu ki
sahar pa-e-gul be-KHudi hum ko aai
ki us sust paiman mein bu thi kasu ki
ye sar-gashta jab tak raha is chaman mein
ba-rang-e-saba justuju thi kasu ki
na Thahri Tuk ek jaan bar-lab rasida
hamein muddaa guftugu thi kasu ki
jalaya shab ek shoala-e-dil ne hum ko
ki us tund sarkash mein KHu thi kasu ki
na the tujh se nazuk mayana-e-gulshan
bahut to kamar jaise mu thi kasu ki
dam-e-marg dushwar di jaan in ne
magar 'mir' ko aarzu thi kasu ki
Ghazal
Ye chashm aaina-dar-e-ru thi kasu ki
Mir Taqi Mir