اردو हिंदी
Ab haal apna uske hai dil-KHwah | Shaahi Shayari
ab haal apna uske hai dil-KHwah

Ghazal

Ab haal apna uske hai dil-KHwah

Mir Taqi Mir

;

ab haal apna us ke hai dil-KHwah
kya puchhte ho alhamdulillah

mar jao koi parwa nahin hai
kitna hai maghrur allah allah

pir-e-mughan se be-etiqadi
astaghfirullah astaghfirullah

kahte hain us ke tu munh lagega
ho yun hi yarab jun hai ye afwah

hazrat se us ki jaana kahan hai
ab mar rahega yan banda dargah

sab aql khoe hai rah-e-mohabbat
ho KHizr dil mein kaisa hi gumrah

mujrim hue hum dil de ke warna
kis ko kaso se hoti nahin chah

kya kya na rijhen tum ne pachain
achchha rijhaya ai mehrban aah

guzre hai dekhen kyunkar hamari
us bewafa se ne rasm ne rah

thi KHwahish-e-dil rakhna hamail
gardan mein us ki har gah-o-be-gah

us par ki tha wo shah-e-rag se aqrab
hargiz na pahuncha ye dast-e-kotah

hai ma-siwa kya jo 'mir' kahiye
aagah sare us se hain aagah

jalwe hain us ke shanen hain us ki
kya rose kya KHor kya raat kya mah

zahir ki baatin awwal ki aaKHir
allah allah allah allah