shaiKH ji aao musalla giro jam karo 
jins taqwa ke tain sirf mai-e-KHam karo 
farsh mastan karo sajjada-e-be-tah ke tain 
mai ki tazim karo shishe ka ikram karo 
daman-e-pak ko aaluda rakho baade se 
aap ko mughbachon ke qabil-e-dushnam karo 
nek-nami-o-taqawat ko dua jald kaho 
din-o-dil pesh-kash sada-e-KHud-kaam karo 
nang-o-namus se ab guzro jawanon ki tarah 
par fishani karo aur saqi se ibram karo 
KHub agar jura -mai-nosh nahin kar sakte 
KHatir-jama mai-asham se ye kaam karo 
uTh khaDe ho jo jhuke gardan-e-mina-e-sharab 
KHidmat-e-baada-gusaran hi sar-anjam karo 
mutrib aa kar jo kare chang-nawazi to tum 
pairahan maston ki taqlid se inam karo 
KHunki itni bhi to lazim nahin is mausam mein 
pas josh-e-gul-o-dil garmi-e-ayyam karo 
saya-e-gul mein lab-e-ju pe gulabi rakho 
hath mein jam ko lo aap ko badnam karo 
aah-e-ta-chand raho KHanaqah-o-masjid mein 
ek to subh-e-gulsitan mein bhi sham karo 
raat to sari gai sunte pareshan-goi 
'mir'-ji koi ghaDi tum bhi to aaram karo
        Ghazal
ShaiKH ji aao musalla giro jam karo
Mir Taqi Mir

