KHat likh ke koi sada na us ko malul ho
hum to hun bad-guman jo qasid-e-rasul ho
chahun to bhar ke kauli uTha lun abhi tumhein
kaise hi bhaari ho mere aage to phul ho
surma jo nur baKHshe hai aankhon ko KHalq ki
shayad ki rah-e-yar ki hi KHak dhul ho
jawen nisar hone ko hum kis bisat par
ek nim jaan rakhen hain so wo jab qubul ho
hum in dinon mein lag nahin paDte hain subh-o-sham
warna dua karen to jo chahen husul ho
dil le ke launDe dilli ke kab ka pacha gae
ab un se khai pi hui shai kiya wasul ho
nakaam is liye ho ki chaho ho sab kuchh aaj
tum bhi to 'mir' sahib-o-qibla ajul ho
Ghazal
KHat likh ke koi sada na usko malul ho
Mir Taqi Mir