lab tere lal-e-nab hain donon
par tamami itab hain donon
rona aankhon ka roiye kab tak
phuTne hi ke bab hain donon
hai takalluf naqab we ruKHsar
kya chhupen aaftab hain donon
tan ke mamure mein yahi dil-o-chashm
ghar the do so KHarab hain donon
kuchh na puchho ki aatish-e-gham se
jigar-o-dil kabab hain donon
sau jagah us ki aankhen paDti hain
jaise mast-e-sharab hain donon
panw mein wo nasha talab ka nahin
ab to sarmast-e-KHwab hain donon
ek sab aag ek sab pani
dida-o-dil azab hain donon
bahs kahe ko lal-o-marjaan se
us ke lab hi jawab hain donon
aage dariya the dida-e-tar 'mir'
ab jo dekho sarab hain donon
Ghazal
Lab tere lal-e-nab hain donon
Mir Taqi Mir