teri abru-o-tegh tez to ham-dam hain ye donon
hue hain dil jigar bhi samne rustam hain ye donon
na kuchh kaghaz mein hai tane qalam ko dard nalon ka
likhun kya ishq ke haalat na-mahram hain ye donon
lahu aankhon se bahte waqt rakh leta hun hathon ko
jarahat hain agar we donon to marham hain ye donon
kaso chashme pe dariya ke diya upar nazar rakhiye
hamare dida-e-nam-dida kya kuchh kam hain ye donon
lab jaan-baKHsh us ke mar hi rakhte hain aashiq ko
agarche aab-e-haiwan hain wa lekin sam hain ye donon
nahin abru hi mail jhuk rahi hai tegh bhi idhar
hamare kisht-o-KHun mein muttafiq baham hain ye donon
khule sine ke daghon par Thahar rahte hain kuchh aansu
chaman mein mahr-warzi ke gul-o-shabnam hain ye donon
kabhu dil rukne lagta hai jigar gahe taDapta hai
gham-e-hijran mein chhati ke hamari jam hain ye donon
KHuda jaane ki duniya mein milen us se ki uqba mein
makan to 'mir'-sahib shohra-e-alam hain ye donon
Ghazal
Teri abru-o-tegh tez to ham-dam hain ye donon
Mir Taqi Mir