tir jo us kaman se nikla 
jigar murgh-e-jaan se nikla 
nikli thi tegh be-daregh us ki 
main hi ek imtihan se nikla 
go kaTe sar ki soz-e-dil jon shama 
ab to meri zaban se nikla 
aage ai nala hai KHuda ka nanw 
bas to na aasman se nikla 
chashm-o-dil se jo nikla hijran mein 
na kabhu bahr-o-kan se nikla 
mar gaya jo asir-e-qaid-e-hayat 
tangna-e-jahan se nikla 
dil se mat ja ki haif us ka waqt 
jo koi us makan se nikla 
us ki shirin-labi ki hasrat mein 
shahd pani ho shan se nikla 
na-muradi ki rasm 'mir' se hai 
taur ye is jawan se nikla
        Ghazal
Tir jo us kaman se nikla
Mir Taqi Mir

