KHush-qadan jab sawar hote hain
sarw-o-qumri shikar hote hain
tere baalon ke wasf mein mere
sher sab pechdar hote hain
aao yaad-e-butan pa bhul na jao
ye taghaful-shiar hote hain
dekh lewenge ghair ko tujh pas
sohbaton mein bhi yar hote hain
sadqe ho lewen ek-dam tere
phir to tujh par nisar hote hain
tu kare hai qarar milne ka
hum abhi be-qarar hote hain
haf-iqlim har gali hai kahin
dilli se bhi dayar hote hain
rafta rafta ye tifl-e-KHush-zahir
fitna-e-rozgar hote hain
us ke nazdik kuchh nahin izzat
'mir'-ji yun hi KHwar hote hain
Ghazal
KHush-qadan jab sawar hote hain
Mir Taqi Mir