talwar gharq-e-KHun hai aankhen gulabiyan hain 
dekhen to teri kab tak ye bad-sharabiyan hain 
jab le naqab munh par tab did kar ki kya kya 
dar-parda shoKHiyan hain phir be-hijabiyan hain 
chahe hai aaj hun main haft-asman ke upar 
dil ke mizaj mein bhi kitni shitabiyan hain 
ji bikhre dil Dhahe hai sar bhi gira paDe hai 
KHana-KHarab tujh bin kya kya KHarabiyan hain 
mehman 'mir' mat ho KHwan-e-falak pe hargiz 
KHali ye mehr-o-mah ki donon rikabiyan hain
        Ghazal
Talwar gharq-e-KHun hai aankhen gulabiyan hain
Mir Taqi Mir

