اردو हिंदी
Dawe ko yar aage mayub kar chuke hain | Shaahi Shayari
dawe ko yar aage mayub kar chuke hain

Ghazal

Dawe ko yar aage mayub kar chuke hain

Mir Taqi Mir

;

dawe ko yar aage mayub kar chuke hain
is reKHte ko warna hum KHub kar chuke hain

marne se tum hamare KHatir nachant rakhiyo
us kaam ka bhi hum kuchh uslub kar chuke hain

husn-e-kalam khinche kyunkar na daman-e-dil
is kaam ko hum aaKHir mahbub kar chuke hain

hangama-e-qayamat taza nahin jo hoga
hum is tarah ke kitne aashob kar chuke hain

rang-e-paridan qasid baad-e-sahar kabutar
kis kis ke hum hawale maktub kar chuke hain

tinka nahin raha hai kya ab nisar kariye
aage hi hum to ghar ko jarub kar chuke hain

har lahza hai tazayud ranj-o-gham-o-alam ka
ghaalib ki taba-e-dil ko maghlub kar chuke hain

kya jaaniye ki kya hai ai 'mir' wajh zid ki
sau bar hum to us ko mahjub kar chuke hain