nikle hai jins-e-husn kisi karwan mein
ye wo nahin mataa ki ho har dukan mein
jata hai ek hujum-e-gham ishq-ji ke sath
hangama le chale hain hum us bhi jahan mein
yarab koi to wasta sar-gashtagi ka hai
yak ishq bhar raha hai tamam aasman mein
hum us se aah soz-e-dil apna na kah sake
the aatish-e-darun se phaphole zaban mein
gham khinchne ko kuchh to tawanai chahiye
siwayyan na dil mein tab na taqat hai jaan mein
ghafil na rahiyo hum se ki hum we nahin rahe
hota hai ab to haal ajab ek aan mein
we din gae ki aatish-e-gham dil mein thi nihan
sozish rahe hai ab to har ek ustuKHwan mein
dil nazr-o-dida-pesh-kash ai bais-e-hayat
sach kah ki ji lage hai tera kis makan mein
khincha na kar tu tegh ki ek din nahin hain hum
zalim qabahaten hain bahut imtihan mein
phaDa hazar ja se gareban-e-sabr-e-'mir'
kya kah gai nasim-e-sahar gul ke kan mein
Ghazal
Nikle hai jins-e-husn kisi karwan mein
Mir Taqi Mir