ye tark ho ke KHashin kaj agar kulah karen
to bul-hawas na kabhu chashm ko siyah karen
tumhein bhi chahiye hai kuchh to pas chahat ka
hum apni aur se yun kab talak nibah karen
rakha hai apne tain rok rok kar warna
siyah kar den zamane ko hum jo aah karen
jo us ki aur ko jaana mile to hum bhi zaif
hazar sajde har ek gam sarbarah karen
hawa-e-mai-kada ye hai to faut-e-waqt hai zulm
namaz chhoD den ab koi din gunah karen
hamesha kaun takalluf hai KHub-ruyon ka
guzar naz se idhar bhi gah gah karen
agar uThenge isi haal se to kahiyo tu
jo roz-e-hashr tujhi ko na uzr-KHwah karen
buri bala hain sitam-kushta-e-mohabbat hum
jo tegh barse to sar ko na kuchh panah karen
agarche sahal hain par didani hain hum bhi 'mir'
udhar ko yar tammul se gar nigah karen
Ghazal
Ye tark ho ke KHashin kaj agar kulah karen
Mir Taqi Mir