kya kahun kaisa sitam ghaflat se mujh par ho gaya
qafila jata raha main subh hote sau gaya
be-kasi muddat talak barsa ki apni gor par
jo hamari KHak par se hauke guzra ro gaya
kuchh KHatarnaki tariq-e-ishq mein pinhan nahin
khap gaya wo rah-rau is rah ho kar jo gaya
muddaa jo hai so wo paya nahin jata kahin
ek aalam justuju mein ji ko apne kho gaya
'mir' har-yak mauj mein hai zulf hi ka sa dimagh
jab se wo dariya pe aa kar baal apne dho gaya

Ghazal
Kya kahun kaisa sitam ghaflat se mujh par ho gaya
Mir Taqi Mir