us ke kuche se jo uTh ahl-e-wafa jate hain
ta-nazar kaam kare ru-ba-qafa jate hain
muttasil rote hi rahiye to bujhe aatish-e-dil
ek do aansu to aur aag laga jate hain
waqt-e-KHush un ka jo ham-bazm hain tere hum to
dar-o-diwar ko ahwal suna jate hain
jaegi taqat-e-pa aah tu kariyega kya
ab to hum haal kabhu tum ko dikha jate hain
ek bimar-e-judai hun main aaphi tis par
puchhne wale juda jaan ko kha jate hain
ghair ki tegh-e-zaban se teri majlis mein to hum
aa ke roz ek naya zaKHm uTha jate hain
arz-e-wahshat na diya kar to bagule itni
apni wadi pe kabhu yar bhi aa jate hain
'mir' sahab bhi tere kuche mein shab aate hain lek
jaise daryuza-gari karne gada jate hain
Ghazal
Uske kuche se jo uTh ahl-e-wafa jate hain
Mir Taqi Mir