اردو हिंदी
Be-rawi wa zulf-e-yar hai rone se kaam yan | Shaahi Shayari
be-rawi wa zulf-e-yar hai rone se kaam yan

Ghazal

Be-rawi wa zulf-e-yar hai rone se kaam yan

Mir Taqi Mir

;

be-rawi wa zulf-e-yar hai rone se kaam yan
daman hai munh pe abr-e-namat subh-o-sham yan

aawaza hi jahan mein hamara suna karo
anqa ke taur zist hai apni ba-nam yan

wasf-e-dahan se us ke na aage qalam chale
yani kya hai KHame ne KHatm kalam yan

ghaalib ye hai ki mausam-e-KHat wan qarib hai
aane laga hai muttasil us ka payam yan

mat kha fareb-e-ijz azizan-e-haal ka
pinhan kiye hain KHak mein yaron ne dam yan

koi hua na dast-basar shahr-e-husn mein
shayad nahin hai rasm-e-jawab salam yan

nakaam rahne hi ka tumhein gham hai aaj 'mir'
bahuton ke kaam ho gae hain kul tamam yan