na phir rakkhenge teri rah mein pa hum
gae-guzre hain aaKHir aise kya hum
KHinchegi kab wo tegh-e-naz yarab
rahe hain der se sar ko jhuka hum
na jaana ye ki kahte hain kise pyar
rahen be-lutfiyan hi yan to baham
bane kya KHal-o-zulf-o-KHat se dekhen
hue hain kitne ye kafir faraham
maraz hi ishq ka be-Dol hai kuchh
bahut karte hain apni si dawa hum
kahin paiwand hun yarab zamin ke
phirenge us se yun kab tak juda hum
hawas thi ishq karne mein wa-lekin
bahut nadim hue dil ko laga hum
kab aage koi marta tha kisi par
jahan mein kar gae rasm-e-wafa hum
taaruf kya raha ahl-e-chaman se
hue ek umr ke pichhe riha hum
mua jis ke liye us ko na dekha
na samjhe 'mir' ka kuchh muddaa hum
Ghazal
Na phir rakkhenge teri rah mein pa hum
Mir Taqi Mir