kya main bhi pareshani-e-KHatir se qarin tha 
aankhen to kahin thin dil-e-gham-dida kahin tha 
kis raat nazar ki hai soi chashmak-e-anjum 
aankhon ke tale apne to wo mah-jabin tha 
aaya to sahi wo koi dam ke liye lekin 
honTon pe mere jab nafas baz-pasin tha 
ab koft se hijran ki jahan tan pe rakha hath 
jo dard-o-alam tha so kahe tu ki wahin tha 
jaana nahin kuchh juz ghazal aa kar ke jahan mein 
kal mere tasarruf mein yahi qita-e-zamin tha 
nam aaj koi yan nahin leta hai unhon ka 
jin logon ke kal mulk ye sab zer-e-nagin tha 
masjid mein imam aaj hua aa ke wahan se 
kal tak to yahi 'mir' KHarabaat-nashin tha
        Ghazal
Kya main bhi pareshani-e-KHatir se qarin tha
Mir Taqi Mir

