milti hai use gauhar-e-shab-tab ki miras
li mujh dil-e-sad-para ne simab ki miras
hasrat se teri chashm ki nargis ne chaman mein
pai hai kisi dida-e-be-KHwab ki miras
yan jo dil-e-raushan ki wo KHali hai KHudi se
pahunchai falak ne use mahtab ki miras
ek biDa-e-pan hath se tu apne jo baKHshe
tuti ko mile ghaib se surKHab ki miras
pasang hain lal us ke bhi jis sang ko pahunche
ek qatra mere ashk ke KHunbab ki miras
ro-ro ke meri chashm ne is bahr-e-jahan se
li KHana-KHarabi ke liye aab ki miras
ye dard-o-gham-e-ishq dila jaan ghanimat
pahunchi teri hub se tujhe ahbab ki miras
dariya-e-mohabbat se 'muhib' le hi ke chhoDi
mujh ashk ne aaKHir dur-e-nayab ki miras

Ghazal
Milti hai use gauhar-e-shab-tab ki miras
Waliullah Muhib