milte julte hain yahan log zarurat ke liye
hum tere shahr mein aae hain mohabbat ke liye
wo bhi aaKHir teri tarif mein hi KHarch hua
main ne jo waqt nikala tha shikayat ke liye
main sitara hun magar tez nahin chamkunga
dekhne wale ki aankhon ki suhulat ke liye
sar jhukae hue KHamosh jo tum baiThe ho
itna kafi hai mere dost nadamat ke liye
wo bhi din aae ki dahliz pe aa kar 'azhar'
panw rukte hain mere teri ijazat ke liye
Ghazal
Milte julte hain yahan log zarurat ke liye
Azhar Nawaz