milte hi KHud ko aap se wabasta kah diya
mahsus jo kiya wahi bar-jasta kah diya
KHurshid-e-subh-e-nau ko shikayat hai dosto
kyun shab se hum ne subh ko paiwasta kah diya
main chup hua to zaKHm mere bolne lage
sab kuchh zaban-e-haal se lab-basta kah diya
chalta raha to dasht-nawardi ka tanz tha
Thahra zara to aap ne pa-basta kah diya
dekhi gai na aap ki andoh-KHatiri
kanTe mile to un ko bhi gul-dasta kah diya
dekha to ek aag ka dariya tha maujzan
is dard-e-na-saza ne jise rasta kah diya
mujrim the wo jo kar na sake irtikab-e-jurm
mulzim hun main jo raaz tha sar-basta kah diya
na-ashna-e-soz-e-darun kya samajh saken
kyun KHud ko hum ne aaj jigar-KHasta kah diya
Ghazal
Milte hi KHud ko aap se wabasta kah diya
Murtaza Birlas

