milte hain muskura ke agarche tamam log
mar mar ke ji rahe hain magar subh-o-sham log
ye bhuk ye hawas ye tanazzul ye wahshaten
tamir kar rahe hain ye kaisa nizam log
barbaadiyon ne mujh ko bahut surKH-ru kiya
karne lage hain ab to mera ehtiram log
inkar kar raha hun to qimat buland hai
bikne pe aa gaya to gira denge dam log
is ahd mein ana ki hifazat ke waste
phirte hain le ke hath mein KHali niyam log
baiThe hain KHud hi panw mein zanjir Dal kar
hairan hun buzdili ke hain kitne ghulam log
kis kis ka e'tibar karen shahr mein 'nafas'
chehre badal badal ke mile hain tamam log

Ghazal
Milte hain muskura ke agarche tamam log
Nafas Ambalvi