milta nahin KHud apne qadam ka nishan mujhe
kin marhalon mein chhoD gaya karwan mujhe
lamhe ka lams phail chuka kaenat par
aawaz dene aai hain ab duriyan mujhe
ek jast mein tamam huin sari wusaten
la ab nai zamin naya aasman mujhe
aaj ek dasht-washt mein tanha shajar bhi main
hairat se takte hain sabhi karwan mujhe
jangal ki aag phail gai sare sahn mein
le jae ab junun na jaane kahan mujhe
sare tilism TuT gae ishtiyaq ke
wo rah mein mile jo kabhi na-gahan mujhe
taKHliq-e-sher jehd-e-musalsal wo KHana-zad
ek ek lafz dar pe mahaz-e-garan mujhe

Ghazal
Milta nahin KHud apne qadam ka nishan mujhe
Chandrabhan Khayal