milta hi nahin dard ka paikar koi mujh sa
aaine mein ek shaKHs hai kamtar koi mujh sa
iman bhi tanha hai mera kufr bhi tanha
momin koi mujh sa hai na kafir koi mujh sa
hai kaun jo is abr ke parde mein rawan hai
diwana hai diwana sarasar koi mujh sa
kohsar ke daman mein milata hai nihan kaun
aawaz se aawaz barabar koi mujh sa
lene nahin deta kisi karwaT mujhe aaram
ek shaKHs haTila mere andar koi mujh sa
main TuTta tara hun nazar mujh se mila lo
phir kahe ko dekhoge mukarrar koi mujh sa
aaina hun aur chehra-e-'KHurshid' pe wa hun
hoga kahin qismat ka sikandar koi mujh sa
Ghazal
Milta hi nahin dard ka paikar koi mujh sa
Khursheed Rizvi

