اردو हिंदी
Milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga | Shaahi Shayari
milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga

Ghazal

Milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga

Fazl Tabish

;

milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga
dhuen ko jitne walon ka suraj dusra hoga

agar mar kar phir uThna hai to marne ki KHushi kya hai
badan khone ka gham jine ki KHushiyon se siwa hoga

suna hai ye zamin uDti phiregi rui ki surat
tamasha karne wala hi tamasha dekhta hoga

main chiDiyon ko ulajhte dekh kar laDta samajhta hun
magar sachchai kya hai ye unhin se puchhna hoga

tumhaara jism meri aag mein tap kar nikharta hai
magar ek roz mera jism ThanDa paD gaya hoga

mujhe KHushbu lapeTe jism kuchh achchhe nahin lagte
magar us ko mera KHali badan bhi kaTta hoga