milne ki tarah mujh se wo pal bhar nahin milta
dil us se mila jis se muqaddar nahin milta
ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna
is rah mein sar milte hain patthar nahin milta
ham-rangi-e-mausam ke talabgar na hote
saya bhi to qamat ke barabar nahin milta
kahne ko gham-e-hijr baDa dushman-e-jaan hai
par dost bhi is dost se behtar nahin milta
kuchh roz 'nasir' aao chalo ghar mein raha jae
logon ko ye shikwa hai ki ghar par nahin milta
Ghazal
Milne ki tarah mujhse wo pal bhar nahin milta
Naseer Turabi