milne ke nahin nishan hamare
kya puchhte ho makan hamare
ehsan se nahin badi bhi KHali
dushman hain mehrban hamare
pachhtaoge jaan le ke dekho
nahaq hain ye imtihan hamare
be-misl hain lazzat-e-suKHan mein
sab uTh gae ham-zaban hamare
aazad ki justuju abas hai
paoge pate kahan hamare
uDti hai KHak is zamin se
paDte hain qadam jahan hamare
naqa late hain is taraf rose
mohsin hain sarban hamare
hum se bhi kuchh kaho azizo
kya zikr the shab wahan hamare
zahir hai jo guzar rahi hai
kuchh haal nahin nihan hamare
bah gae 'nasim' rang kya kya
ye dida-e-KHun-fishan hamare
Ghazal
Milne ke nahin nishan hamare
Naseem Dehlvi