milna na milna ek bahana hai aur bas
tum sach ho baqi jo hai fasana hai aur bas
logon ko raste ki zarurat hai aur mujhe
ek sang-e-rahguzar ko haTana hai aur bas
masrufiyat ziyaada nahin hai meri yahan
miTTi se ek charagh banana hai aur bas
soe hue to jag hi jaenge ek din
jo jagte hain un ko jagana hai aur bas
tum wo nahin ho jin se wafa ki ummid hai
tum se meri murad zamana hai aur bas
phulon ko DhunDta hua phirta hun bagh mein
baad-e-saba ko kaam dilana hai aur bas
aab o hawa to yun bhi mera masala nahin
mujh ko to ek daraKHt lagana hai aur bas
nindon ka rat-jagon se ulajhna yunhi nahin
ek KHwab-e-raegan ko bachana hai aur bas
ek wada jo kiya hi nahin hai abhi 'salim'
mujh ko wahi to wada nibhana hai aur bas

Ghazal
Milna na milna ek bahana hai aur bas
Saleem Kausar