mili jo dil ko KHushi to KHushi se ghabrae
hum ajnabi ki tarah zindagi se ghabrae
wo aur kuchh hai magar kaenat-e-hosh nahin
ek aadmi hi agar aadmi se ghabrae
kabhi kabhi to teri dosti mein hum ai dost
KHud apne aalam-e-awargi se ghabrae
jala liye hain usi waqt aansuon ke charagh
shab-e-firaq mein jab tirgi se ghabrae
wahi to bazm se saqi ki uTh gae mahrum
jo mai-kade mein kabhi tishnagi se ghabrae
fareb-e-gesu-e-pur-KHam ho ya ho sham-e-hayat
wo shams kya ki kisi tirgi se ghabrae
Ghazal
Mili jo dil ko KHushi to KHushi se ghabrae
Shams Farrukhabadi