mili hai kaise gunahon ki ye saza mujh ko
Daraata rahta hai apna hi aaina mujh ko
main kis fasane ka hissa hun kah nahin sakta
wajud apna bhi lagta hai waqia mujh ko
ab aasman ki chalo had talash ki jae
bula raha hai sitaron ka qafila mujh ko
main kaenat pe apni nigah Dalta hun
tere KHayal ki milti hai jab ziya mujh ko
salam karta hun ranai-e-hayat tujhe
ab aur koi tamasha nahin dikha mujh ko
teri KHamoshi mein muzmar hai mera raaz-e-suKHan
ki be-zaban na kar de teri sada mujh ko
wahi azim hai jo banTta ho dard-e-wajud
usi ke wasl ka 'rashid' hai aasra mujh ko
Ghazal
Mili hai kaise gunahon ki ye saza mujhko
Rashid Taraz