milega dard to darman ki aarzu hogi
tamam umr gharaz sirf justuju hogi
phir aaj dil se muKHatab hai shab ka sannaTa
phir aaj subh talak un ki guftugu hogi
junun ka shaghl salamat rafu ki fikr na kar
kise KHabar hai ki kab fursat-e-rafu hogi
abhi jalenge yahan aur be-ruKHi ke charagh
is anjuman mein wafa aur surKH-ru hogi
chalegi baat jahan teri kaj-adai ki
meri wafa bhi to mauzu-e-guftugu hogi
bachenge barq-e-hawadis se aashiyan kab tak
ki tez-tar abhi tahrik-e-rang-o-bu hogi
milenge rah mein aise aise bhi ham-safar 'taban'
qadam qadam jinhen manzil ki justuju hogi

Ghazal
Milega dard to darman ki aarzu hogi
Taban Ghulam Rabbani