mile shauqin baaten ho rahi hain
baDi rangin baaten ho rahi hain
mere zaKHmon ko shayad paDh liya hai
tabhi namkin baaten ho rahi hain
use bolo ki parde mein rahe wo
karo talqin baaten ho rahi hain
wahan do-chaar baaten aur kar len
jahan do tin baaten ho rahi hain
miyan zaKHmon ka uqda khul raha hai
karo tadfin baaten ho rahi hain

Ghazal
Mile shauqin baaten ho rahi hain
Sarwat Mukhtar