mile mujh ko gham se fursat to sunaun wo fasana
ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabana
yahi zindagi musibat yahi zindagi musarrat
yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana
kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-mudawa
kabhi bijliyon ki KHwahish kabhi fikr-e-ashiyana
mere qahqahon ki zad par kabhi gardishen jahan ki
mere aansuon ki rau mein kabhi talKHi-e-zamana
meri rifaton se larzan kabhi mehr-o-mah o anjum
meri pastiyon se KHaif kabhi auj-e-KHusrawana
kabhi main hun tujh se nalan kabhi mujh se tu pareshan
kabhi main tera hadaf hun kabhi tu mera nishana
jise pa saka na zahid jise chhu saka na sufi
wahi tar chheDta hai mera soz-e-shairana
Ghazal
Mile mujhko gham se fursat to sunaun wo fasana
Moin Ahsan Jazbi