mile jo naqa-e-wahshat ko sarban koi
dikhaun qafila-e-KHwab ka nishan koi
KHamoshiyon hi se mashrut hai janam mera
so meri rakh se uThta nahin dhuan koi
KHasara aur hi hota tha be-ghari ka magar
mujhe makan mein rakhta hai be-makan koi
kisi se hone na hone ke darmiyan ho jo rabt
wahin to rabt mein aata hai darmiyan koi
suragh de ke mujhe meri be-zabani ka
mujhi mein aan basa mujh sa be-zaban koi
tu mere aks ko mizan-e-aina mein na tol
uTha raha hai abhi meri kirchiyan koi
tere KHayal ki aabaadiyan chhupati hun
ki mujh se chhin na le meri bastiyan koi

Ghazal
Mile jo naqa-e-wahshat ko sarban koi
Shahida Hasan