mile ghairon se mujh ko ranj o gham yun bhi hai aur yun bhi
wafa-dushman jafa-ju ka sitam yun bhi hai aur yun bhi
kahin wamiq kahin majnun raqam yun bhi hai aur yun bhi
hamare nam par chalta qalam yun bhi hai aur yun bhi
shab-e-wada wo aa jaen na aaen mujh ko bulwa len
inayat yun bhi hai aur yun bhi karam yun bhi hai aur yun bhi
udu likkhe mujhe nama tumhaari mohr us ka KHat
jafa yun bhi hai aur yun bhi sitam yun bhi hai aur yun bhi
na KHud aaen na bulwaen shikayat kyun na likh bhejun
inayat ki nazar mujh par karam yun bhi hai aur yun bhi
ye masjid hai ye mai-KHana tajjub is par aata hai
janab-e-shaiKH ka naqsh-e-qadam yun bhi hai aur yun bhi
tujhe nawwab bhi kahte hain shair bhi samajhte hain
zamane mein tera 'sael' bharam yun bhi hai aur yun bhi
Ghazal
Mile ghairon se mujhko ranj o gham yun bhi hai aur yun bhi
Saail Dehlvi