اردو हिंदी
Mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile | Shaahi Shayari
mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile

Ghazal

Mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile

Gulam jilani Asghar

;

mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile
ki jaise ajnabi koi ek ajnabi se mile

qadam qadam pe KHulus-e-wafa ka zikr kiya
adu mile bhi to kis husn-e-sadgi se mile

sitam karo bhi to andaz-e-munsifi se karo
koi saliqa to unwan-e-dosti se mile

teri talash mein nikle the tere diwane
har ek moD pe KHud apni zindagi se mile

wo log apni hi zanjir-e-pa ke qaidi hain
jinhen nishan-e-safar bhi teri gali se mile

chalo ki tark-e-talluq ki baat KHatm hui
na tum KHushi se mile ho na hum KHushi se mile