اردو हिंदी
Milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai | Shaahi Shayari
milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai

Ghazal

Milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai

Aanis Moin

;

milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai
tumhaari yaadon ke sath tanha safar kiya hai

suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro paDe the
suna hai barish ne pattharon par asar kiya hai

salib ka bar bhi uThao tamam jiwan
ye lab-kushai ka jurm tum ne agar kiya hai

tumhein KHabar thi haqiqaten talKH hain jabhi to!
tumhaari aankhon ne KHwab ko mo'atabar kiya hai

ghuTan baDhi hai to phir usi ko sadaen di hain
ki jis hawa ne har ek shajar be-samar kiya hai

hai tere andar basi hui ek aur duniya
magar kabhi tu ne itna lamba safar kiya hai

mere hi dam se to raunaqen tere shahr mein thin
mere hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai

tujhe KHabar kya mere labon ki KHamoshiyon ne!
tere fasane ko kis qadar muKHtasar kiya hai

bahut si aankhon mein tirgi ghar bana chuki hai
bahut si aankhon ne intizar-e-sahar kiya hai