milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko
ayan jab har jagah dekhun usi ke naz-e-pinhan ko
tujhe ai shama kya dekhen zamane ko dikhana hai
hamein jun kaghaz-e-atish-zada aur hi charaghan ko
na tanha kuchh yahi atfal dushman hain diwanon ke
bhare hai koh bhi dekha to yan pattharon se daman ko
jhamakte hain sitaron ki tarah suraKH hasti ke
chhupaya go ki jun KHurshid mein dagh-e-numayan ko
na wajib hi kaha jawe na sadiq mumtana us par
kiya tashKHis kuchh hum ne na hargiz shaKHs-e-imkan ko
Ghazal
Milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko
Khwaja Meer u0027Dardu0027