اردو हिंदी
Mila tha koi sar-e-rah ajnabi ki tarah | Shaahi Shayari
mila tha koi sar-e-rah ajnabi ki tarah

Ghazal

Mila tha koi sar-e-rah ajnabi ki tarah

Kavita Kiran

;

mila tha koi sar-e-rah ajnabi ki tarah
aziz lagta hai jo mujh ko zindagi ki tarah

wo ek shaKHs andheron mein jis ne chhoD diya
wo ab bhi rahta hai aankhon mein raushni ki tarah

ye aarzu meri barson ki hai ki aap milen
farishta ban ke nahin ban ke aadmi ki tarah

sameT rakkha tha jis kahkashan ko daman mein
wo ghar mein utri hai ek taza raushni ki tarah

hum is liye hi to palken bichhae rahte hain
bahut aziz ho tum hum ko shaeri ki tarah

wo ek sach meri aankhon mein hai 'kiran' ab bhi
jo KHwab ban ke raha dil mein raushni ki tarah