اردو हिंदी
Mila na kaam koi umr-bhar junun ke siwa | Shaahi Shayari
mila na kaam koi umr-bhar junun ke siwa

Ghazal

Mila na kaam koi umr-bhar junun ke siwa

Hasan Nayeem

;

mila na kaam koi umr-bhar junun ke siwa
tamam aish mayassar rahe sukun ke siwa

lagi wo aag ki diwar-o-dar bhi chal nikle
koi muqim nahin ghar mein ab sutun ke siwa

main us ke jism ki bekal pukar sun bhi chuka
ab us ki aankh mein rakkha hai kya fusun ke siwa

paDi wo dhup ki sab rang paD gae pile
bacha nahin hai koi surKH mere KHun ke siwa

tamam fan ki bina madd-o-jazr dil hai 'naim'
ki sher-o-naghma mein kya mauj-e-andrun ke siwa