mila ke hath masarrat kashid ki jae
wo samne nazar aae to id ki jae
junun-e-ishq kahan nap-tol jaane hai
agar hui hai mohabbat shadid ki jae
wahan to amn ke sajdon ki nur-pashi thi
kaha tha kis ne ki masjid shahid ki jae
chalan wafa ka tumhaari sarisht mein hi nahin
to kis umid pe tum se ummid ki jae
KHulus-o-pyar se patthar pighalte dekhe hain
ana hai dushman-e-jaanan murid ki jae
riwayaton ka bhi apna mizaj hai 'faruq'
ghazal zaruri nahin hai jadid ki jae

Ghazal
Mila ke hath masarrat kashid ki jae
Farooq rahman