اردو हिंदी
Mila jo Khaar to dil mein biTha liya maine | Shaahi Shayari
mila jo Khaar to dil mein biTha liya maine

Ghazal

Mila jo Khaar to dil mein biTha liya maine

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

;

mila jo KHar to dil mein biTha liya main ne
har ek phul se daman bacha liya main ne

nazar mein un ka sarapa basa liya main ne
gham-e-firaq ko aasan bana liya main ne

na puchh mujh se mere fart-e-shauq ka aalam
har ek gham ko tera gham bana liya main ne

bhaDak ke bujh gaya jab us ka har ek diya
charagh-e-dil ko shab-e-gham jala liya main ne

ye kya KHabar thi dahakte hue hain angare
samajh ke phul jinhen sar chaDha liya main ne

fareb-kar rafiqon ki ab nahin hajat
ki apne sine se gham ko laga liya main ne

samajh liya jise auron ne 'ashk' na-mumkin
usi ko apni tamanna bana liya main ne