mila hai taKHt kise kaun taKHt par na raha
ye baat aur hai jari tha jo safar na raha
shab-e-siyah mein bhi jo tha raushni ka safir
kinar-e-baam se wo jhankta qamar na raha
lagi thin jis pe nigahen na jaane kis kis ki
mariz par wahi tawiz kar-gar na raha
yaqin tha jo bhi wo ab gard-e-ishtibah mein hai
ye kya hua ki koi shaKHs mo'tabar na raha
baDe-baDon pe bhi 'majid' ba-nam-e-arz-e-watan
jo e'timad tha al-qissa muKHtasar na raha

Ghazal
Mila hai taKHt kise kaun taKHt par na raha
Majid Siddiqui