mila hai apne hone ka nishan ek
suni sadiyon purani dastan ek
hamari soch to milti hai kitni
magar kyun kar nahin apni zaban ek
mera har ek yaqin jhuTla raha hai
wo jo mujh mein makin hai bad-guman ek
hue hain be-maani baal-o-par ab
mila niche zamin ke aasman ek
bure logon se milwata hai mujh ko
jatata hai wahi achchha yahan ek
meri chup se bhi wo jhunjhla raha hai
KHamoshi ki bhi hoti hai zaban ek
KHuda ko bhi rakhenge dastaras mein
zamin par wo bana ke aasman ek
na tere ho sake hum na hi apne
rahi aadhi adhuri dastan ek
Ghazal
Mila hai apne hone ka nishan ek
Nishant Shrivastava Nayab