اردو हिंदी
Mila ek guna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye | Shaahi Shayari
mila ek guna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye

Ghazal

Mila ek guna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye

Krishna Mohan

;

mila ek guna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye
zara bar-e-qalb subuk hua kai dagh dard ke dho liye

ho nashat-e-dil ki malal-e-dil hamein pesh karna jamal-e-dil
kabhi hans ke phul khila liye kabhi roke moti piro liye

hai rahin gham meri justuju ye hai kaisa gulshan-e-rang-o-bu
yahan kuchh gulo ki talash mein kai KHar main ne chubho liye

kai umr dauDte-bhagte rahe yun to shab ko bhi jagte
kabhi thak gae to Thahar gae kabhi nind aai to so liye

sabhi log mast-e-shuur hain ki KHudi ke nashshe mein chur hain
koi gham-shanas nahin yahan gham-e-dil kisi pe na kholiye

ye unhin ka nur hai jis mein hum chale hausle se qadam qadam
jo sarishk gham ke baha liye jo diye wafa ke sanjo liye