mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya
fasle kam ho gae manzil qarib aai to kya
hai wahi jabr-e-asiri aur wahi gham ka qafas
dil pe ban aai to kya ye ruh ghabrai to kya
apni be-tabi-e-dil ka KHud tamasha ban gae
aap ki mahfil ke bante hum tamashai to kya
baat to jab hai ki sara gulistan hansne lage
fasl-e-gul mein chand phulon ki hansi aai to kya
lao in be-kaifiyon hi se nikalen rah-e-kaif
waqt ab lega koi pur-kaif angDai to kya
kam-nigahi ne use kuchh aur gahra kar diya
wo chhupate hi rahen rang-e-shanasai to kya
phir zara si der mein chaunkaega KHwab-e-sahar
aaKHir-e-shab jagne ke baad nind aai to kya
beDiyan wahm-e-talluq ki nai pahna gae
dost aa kar kaTte zanjir tanhai to kya
shorish-e-afkar se 'ejaz' damanda sahi
chhin sakegi phir bhi fikr-o-fan ki ranai to kya
Ghazal
Mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya
Ejaz Siddiqi