mil mujh se ai pari tujhe quran ki qasam
deta hun tujh ko taKHt-e-sulaiman ki qasam
karr-o-bayon ki tujh ko qasam aur arsh ki
jibril ki qasam tujhe rizwan ki qasam
tuba ki salsabil ki kausar ke jam ki
hur-o-qusur-o-jannat-o-ghilman ki qasam
ruhul-qudus ki tujh ko qasam aur masih ki
mariyam ke tujh ko iffat-e-daman ki qasam
tauret ki qasam qasam injil ki tujhe
tujh ko qasam zabur ki furqan ki qasam
tujh ko mohammad-e-arabi ki qasam hai aur
maula-ali ki shah-e-KHurasan ki qasam
millat mein jis ki tu hui us ki qasam tujhe
aur apne din mazhab-o-iman ki qasam
daman ko meri hath se us raat mat jhaTak
tujh ko sahar ke chaak-e-gareban ki qasam
muddat se teri chah-e-zaqan mein ghariq hun
billah mujh ko yusuf-e-kanan ki qasam
qaidi hun main tera ba-KHuda-wandi-e-KHuda
aur us aziz-e-misr ke zindan ki qasam
musa ki hai qasam tujhe aur koh-e-tur ki
nur-o-farogh-e-jalwa-e-laman ki qasam
nargis ki aankh ki qasam aur gul ke kan ki
tujh ko sar-e-aziz-e-gulistan ki qasam
tujh ko qasam hai ghuncha-e-zambaq ke nak ki
aur shor-e-andalib-e-ghazal-KHwan ki qasam
sone ki gae ki qasam aur rud-e-nil ki
firaun ki qasam tujhe haman ki qasam
bistar mera hai KHar-e-mughilan basan-e-qais
laila ki hai tujhe saf-e-mizhgan ki qasam
aisi baDi qasam bhi na mane to hai tujhe
tujh ko usi ke shaukat-e-zishan ki qasam
dew-e-safed ki qasam aur koh-e-qaf ki
bagh-e-iram ki aur paristan ki qasam
lona-chamari ki qasam aur kallu-abir ki
kali-bala ki ghul-e-bayaban ki qasam
qasmen to sari ho chukin baqi rahi hai ab
pipal tale ke bhutne ki shaitan ki qasam
han phir tu kahiyo hae wo kis tarah hoe ghazab
'insha' na chheD mujh ko meri jaan ki qasam
Ghazal
Mil mujhse ai pari tujhe quran ki qasam
Insha Allah Khan u0027Inshau0027