mil-jul kar iman KHuda par la sakte hain
ek jannat mein bhuk aur pyas sama sakte hain
aap agar samjha den KHal-o-KHad manzar ke
hum apni hairat ka nam bata sakte hain
mere khaliyanon se uThte aag ke shoale
jhonke tere baghon tak phaila sakte hain
kamre ke dam ghuT jaane ka KHauf na ho to
hum apni tanhai ko dohra sakte hain
nind uDa sakte hain dushman ke lashkar ki
malika ke KHwabon se phul chura sakte hain
aap agar palkon ki chaukhaT tak aa jaen
hum apni taswir se bahar aa sakte hain
lamha itni gunjaish rakhta hai KHud mein
aap is mein aane se pahle ja sakte hain
hum bechain khilaune ek din muD mein aa kar
jismon ke show-case se bahar aa sakte hain
kar sakte hain dariya ko ek misre mein qaid
aur sahra ko ghar ki rah dikha sakte hain
palkon ki darzon se jhankne wale ek din
ruKHsaron par aa kar shor macha sakte hain

Ghazal
Mil-jul kar iman KHuda par la sakte hain
Sarfraz Zahid