mil jae aman duniya mein pal bhar nahin lagta
pa jaen sukun daimi mar kar nahin lagta
pani ki talab lai kahan se ye kahan pe
sahra sa to lagta hai ye sagar nahin lagta
is kucha-e-dilbar mein ye kya KHak uDi hai
wo to nahin us ka koi ham-sar nahin lagta
ek roz na mil paen guzara nahin hota
har roz hi milte hain ye mil kar nahin lagta
har din ki tarah din bhi ye kaTe se kaTega
ye shab bhi guzar jaegi aksar nahin lagta
kuchh din se ajab be-kali ghere hai tasawwur
kuchh din se mujhe apna hi ghar ghar nahin lagta

Ghazal
Mil jae aman duniya mein pal bhar nahin lagta
Tasleem Ahmad Tasavvur