اردو हिंदी
Mil gaya shara se sharab ka rang | Shaahi Shayari
mil gaya shara se sharab ka rang

Ghazal

Mil gaya shara se sharab ka rang

Akbar Allahabadi

;

mil gaya shara se sharab ka rang
KHub badla gharaz janab ka rang

chal diye shaiKH subh se pahle
uD chala tha zara KHizab ka rang

pai hai tum ne chand si surat
aasmani rahe naqab ka rang

subh ko aap hain gulab ka phul
dopahar ko hai aaftab ka rang

lakh jaanen nisar hain is par
didani hai tere shabab ka rang

TikTiki bandh gai hai buDhon ki
didani hai tere shabab ka rang

josh aata hai hosh jata hai
didani hai tere shabab ka rang

rind-e-ali-maqam hai 'akbar'
bu hai taqwa ki aur sharab ka rang